Main Aaj Se Ye Zimmedari Swikar Karta Hu brijpujan.com - brij Ki Gau Mata Ke Liye Pukaar |Date: 21/02/2026 | Sthan: Mathura, Braj |
Published on 22 Sep 2026
Jai Gau Mata, Jai Shri Krishn.Main Brijpujan.com Mathura se, aaj ek sankalp le raha hu. Aaj se main is kaam ko apni zindagi ki sabse badi jimmedari ke roop me swikar karta hu.Main tabhi apne kaam ko poora samjhunga jab main kam se kam apni Mathura ki, apne Braj ki Gau Mata ko surakshit aur sangrakshit kar pau.Sach Kya Hai Jo Maine Apni Aankhon Se Dekha?Rajya Sarkar Gau Poshan, Gau Samvardhan aur Sangrakshan ke liye paisa de rahi hai. Executive officers ko fund mil raha hai. Lekin ye poora paisa Gau Mata tak nahi pahuch raha.Kuch Gau Aashray ki sthiti to itni bhayanak hai ki main shabdon me bayan nahi kar sakta. Maine dekha hai ki zinda Gau Vansh ko kutte khaa rahe hain, kauve unki aankhein noch rahe hain, aur wo Gau Mata kuch bhi karne me asamarth hai. Kyuki wo pehle se hi bhook aur kamzori se itni grasit hai ki uspe khada bhi nahi hua ja raha.Ye drishya dekh kar meri aatma ro padi.Is anyay ke khilaf maine awaaz uthayi. Maine Pradhan aur Secretary ko suspend karaya, lekin system se ladna aasaan nahi tha.Mera Prayas Kya Tha?Maine kafi prayas kiya ki mujhe ek Gau Shala mil jaye. Meri soch simple thi - main seva ek Gau Shala se start karta. Jo bhi Gau Vansh bahar sadkon par bhatak raha hai, plastic khane ko majboor hai, use main apni Gau Shala me shift karta, uska ilaaj karta, use taakat deta, aur fir use un Gau Shalaon me shift kara deta jo sach me sahi kaam kar rahi hain.Lekin mujhe Gau Shala nahi mili. Kyuki kuch officers ko pata tha ki agar ye Gau Shala is ladke ko mil gayi, to inhe roz kaam karna padega. Inhe hisaab dena padega.Unhone mujhe Gau Shala nahi di.Ab Mera Uddeshya Kya Hai?Ek Gau Shala nahi mili to kya hua? Mera Braj to bada hai. Meri Gau Mata to har gali me hai.Ab mera uddeshya sirf ek Gau Shala lena nahi, balki sabhi Gau Mata ko surakshit karna hai.Isiliye maine BrijPujan.com ki shuruwat ki hai. Ab BrijPujan.com ke sevadar rozana Braj ki un nirashrit Gau Mataon tak pahunchenge jo sadak par plastic aur kachra khane ko majboor hain, aur unke liye taaze hare chaare ki vyavastha karenge.Ye ladai ab meri akeli ki nahi hai. Ye hum sabki hai.Agar aap bhi ye drishya dekh kar dukhi hote hain, to mere saath judiye. Ek Gau Mata ko bhi agar hum bacha le gaye, to samjho hamara jeevan safal ho gaya.Jai Gau Mata, Jai Shri Krishn.- Brijpujan.com,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,